Ik zara si ranjish se Khawab toot jatay hain bheer mein zamanay ki haath chooth jatay hain dost daar lehjay mein silwatein si parti hain ik zara si ranjish se shak ki zard tehni per phool badgumani k is tarha se khiltay hain zindagi se pyaray bhi ajnabi se lagtay hain ghair ban k miltay hain umer bhar ki chahat ko, aasra nahi milta khaamoshi k waqfon mein, baat toot jati hai aur sira nahi milta maazrat k lafzon ko, roshni nahi milti lazzat e pazeerai bhi, phir kabhi nahi milti phool rang waadon k, khawab toot jatay hain manzilein sukarti hain, raah murnay lagti hai be rukhi k gaaray se, be dili ki mitti se faaslon ki eenton se, eent jurnay lagti hai khaak urnay lagti hai khawab toot jatay hain, waahmon k saaey se umer bhar ki mehnat ko, pal mein loot jatay hain ik zara si ranjish se saath toot jatay hain ..
Ik zara si ranjish se Khawab toot
by
Tags:
Leave a Reply