kantonse guzra jana sholon se nikal

kantonse guzra jana sholon se nikal jana pholon ki basti mein jana tu sambhal jana din apna chragon ki manid guzarty hain har subah ko bujh jana har sham ko jala jana bachon si hi fitrat hai hum ahl-e-mohabbat ki zid karna machal jana phir khud he sambhal jana wo shakhs bhala mera kya sath nibhaye ga mausam ki tarah jis ne saakha hai badal jana


Posted

in

by

Tags:

Comments

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *