Magroor hi sahi mujhe achcha bahot

Magroor hi sahi mujhe achcha bahot laga wo ajnabi to tha magar apna bahot laga rootha hua tha hans to pada mujh ko dekhkar mujh ko to iss qadar bhi dilaasa bahot laga sehra mein jee raha tha jo dariya-dili ke saath dekha jo gaur se to wo pyaasa bahot laga wo jis ke dum-qadam se theen basti ki raunkein basti ujad gaee to akela bahot laga lipta hua ho jaise kuhar mein jaise khizaan ka chand maile libaas mein bhi wo pyaara bahot laga resham pehan ke bhi meri qeemat na badh saki khaddar bhi uss ke jism pe mehnga bahot laga Mohsin jab aaeene pe meri saans jamm gaee mujh ko khud apna aks bhi dundhla bahot laga.


Posted

in

by

Tags:

Comments

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *