har khushi hai logo ke daaman me, par ek hansi ke liye waqt nahi din raat daudti dunia me, zindagi ke liye hi waqt nahi. maa ki loree ka ehsaas to hai, par maa ko maa kehne ka waqt nahi. saare rishton ko to hum maar chuke, ab unhe dafnane ka bhi waqt nahi. saare naam mobile me hai, par dosti ke liye waqt nahi. gairon ki kya baat kare, jab apno ke liye hi waqt nahi. aankhon me hai neend badi, par sone ka waqt nahi. dil hai gamo se bhara hua, par rone ka bhi waqt nahi. paiso ki daud me aise daude, ki thakne ka bhi waqt nahi. paraye ehsason ki kya kadra kare, jab apne sapno ke liye hi waqt nahi. tu hi bata aey zindagi, iss zindagi ka kya hoga, ki har pal marne walo ko, jeene ke liye bhi waqt nahi.
har khushi hai logo ke daaman me,
by
Tags:
Leave a Reply