ik-ik patthar jor k main ne jo diwar banai hai jhanku us ke pichhe to ruswai hi ruswai hai yon lagta hai sote jagte auron ka mohtaj hun main ankhen meri apni hain par un mein nind parai hai dekh rahe hain sab hairat se nile-nile pani ko puche kaun samandar se tujh mein kitni gahrai hai sab kahte hain ik jannat utri hai meri dharti par main dil mein sochun shayad kamzor meri binai hai bahar sahan mein peron par kuch jalte bujhte jugnu the hairat hai phir ghar k andar kis ne ag lagai hai aj hua malum mujhe is shahar k chand sayanon se apni rah badalte rahna sabse bari danai hai tor gaye paiman-e-wafa is daur mein kaise kaise log ye mat soch Qateel k bas ik yar tera harjai hai
ik-ik patthar jor k main ne jo
by
Tags:
Leave a Reply