Iss duniya k bassi b ajab ajab se

Iss duniya k bassi b ajab ajab se kaam kartay hain, Sari zindagi ik bewafa k naam karty hain, Kar letay hain un ki soch mein khud ko gum-naam, Aur phir khud ko un mein talash karty hain, Khud kho jatay hain madhoshi k aalam mein, Aur zindagi ko un k naam karty hain, Chaltay phirtay har shakhs ko dekh kar us k, Saye mein b un ko talash karty hain, Khayalon ki to baat rahi aik taraf, Khuwabon mein b un ka dedaar karty hain, Bithaye rakhty hain khud ko samnay un k ghar majodgi mein un k, Yon he bethay subha se shaam karty hain, Dekh kar har phool mein un k mukhrray ko, Najanay keun woh phoolon ko b salaam karty hain, Woh samnay hon to ho ga kaya aalam.? Un ko dekhay bagair he un se kalaam karty hain,


Posted

in

by

Tags:

Comments

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *