kabhi tu ne khud bhi socha, k ye piyaas hai tu kiyon hai tujhe pa k bhi mera dil jo udaas hai tu kiyon hai mujhe kiyon azeez tar hai ye dhuan dhuan sa musam ye hawa-e-shaam-e-hijran,mujhe raas hai tu kiyon hai tujhe kho k sochta hon mere daman talab me koi khawab hai tu kiyon hai koi aas hai tu kiyon hai me ujar k bhi hon tera tu bichar k bhi hai mera ye yaqeen hai tu kiyon hai ye qayaas hai tu kiyon hai mere tan barhana dushman isi ghum main ghul rahe hain k mere badan pe saalam ye libaas hai tu kiyon hai kabhi poch is k dil se k ye khush mizaaj shayar bohot apni shairi main jo udaas hai tu kiyon hai tera kis ne dil bhujaya mere aitbar sajid ye charagh-e-hijar ab tak tere paas hai tu kiyon hai
kabhi tu ne khud bhi socha, k ye
by
Tags:
Leave a Reply