Kahin aisa na ho daaman jalaa lo

Kahin aisa na ho daaman jalaa lo hamare aansuo par khaak daalo manaana hi zaroori hai to phir tum hamein sab se khafaa hokar manaa lo akelepan se khauff aata hai mujh ko kahaan ho ae mere khawaabo khayaalo bohat maayoos beitha hun mein tum se kabhi aakar mujhe hairat mein daalo. Kaise sukoon paau tujhe dekhne ke baad ab kya ghazal sunaau tujhe dekhne ke baad aawaz de rahi hai meri zindagi mujhe jaaun mein yaa na jaaun tujhe dekhne ke baad teri nigaah-e-mast ne makhmoor kar diya kya meykade ko jaaun tujhe dekhne ke baad nazro mein taab-e-deed hi baaki nahin rahi kis se nazar milaau tujhe dekhne ke baad.


Posted

in

by

Tags:

Comments

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *