kitaabon mein kalingaa ke fasaane

kitaabon mein kalingaa ke fasaane dhoondte hain naadaan hain guzre zamaane dhoondte hain jab woh the. talaash-e-zindagi bhi thi ab to maut ke thikaane dhoondte hain kal khud hi apni mehfil se nikaala tha aaj hue se deewaane dhoondte hain musaafir bekhabar hain teri aankhon se tere shahar mein maikhaane dhoondte hain tujhe kya pata ae sitam dhaane waale kalingaa to rone ke bahaane dhoondte hain. unki aankhon ko youn dekho na kalingaa naye teer hain.. nishaane dhoondte hain.


Posted

in

by

Tags:

Comments

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *