Ye baat samajh mein aayi nahi aur

Ye baat samajh mein aayi nahi aur ammi ne samjhayi nahi, Mein kaise meethi baat karun? Jab koi meethayi khaayi nahi, ye chanda kaisa mamu hai? Jab ammi ka woh bhai nahi? kiu lambay baal hai bhaalu ke? Kiu us ki tind karayi nahi? Kya woh bhi ganja bacha hai? Ya jungle mein koi naai nahi? Nani ke husband nana hein Dad ke husband dada hein, To kiu baji ke husband baja nahi? Ye baat samajh mein aayi nahi, Aur ammi ne samjhayi nahi.


Posted

in

by

Tags:

Comments

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *